Aaj Ashk Mere Naat Sunaye Toh Ajab Kya - Qari Rizwan - Naat Lyrics

Aaj ashk mere naat sunaye toh ajab kya
Sunn kar woh mujhe pas bulaye toh ajab kya

Deedar ke qabil toh kaha meri nazar hai
Lekin woh kabhi khwab me aaye to ajab kya

Un par toh ghunahgaar ke sab haal khule hai
Iss par bhi woh daaman me chupaye toh ajab kya

Muh dhanp ke rakhna ke ghunahgaar bohot hu
Maiyat ko meri dekhne aaye toh ajab kya

Na Zaad e Safar hai na koi kaam bhale hai
Lekin mijhe sarkar bulaye toh ajab kya

Haasil jinhe Aqaa ki ghulami ka sharaf hai
Thokar se woh murdo ko jilaaye toh ajab kya

Woh Husn e Do Aalam hai Adeeb unke karam se
Sehra me agar phool khilaye toh ajab kya

Yeh Nisbat e Shah e Madani aur yeh aansoo
Mehshar me ek gham se shuraye toh ajab kya

Main aisa khatawar hu kuch hadh bhi nahi jiski
Phir bhi mere ayebo ko chupaye toh ajab kya

Paaband nawa toh nahi faryad ki rasme


Yeh ishq mera haal sunaye toh ajab kya

Post a Comment

0 Comments