Kursi Par Koi Bhi Baithe Raja Toh Mera Khwaja Hai - HAFIZ TAHIR QADRI - Manqabat Lyrics

Kursi par koi bhi baithe


Raja toh mera Khwaja hai

Saare hind ka hai raja

Mera Khwaja Maharaja




Haidar ka ladala hai

Woh Zahra ka laal hai

Beshak mera Moin

Muhammad ki aal hai




Deewanon ko kis baat ka

Akhir malaal hai

Khwaja ko apni praja ka

Pura khayal hai

Moinuddin



Kursi par koi bhi baithe

Raja toh mera Khwaja hai

Sare hind ka hai raja

Mera Khwaja Maharaja




Har ankh chahti hai

Ziyarat Moin ki

Har dil me bas gayi hai

Mohabbat Moin ki

Iss Sarzamin e Hind ke
Shahon ne keh diya
Mehshar tak rahegi
Chahat Moin ki
Moinuddin




Kursi par koi bhi baithe

Raja toh mera Khwaja hai

Sare hind ka hai raja

Mera Khwaja Maharaja




Ham garibon ki sadaon

Ne bulaya hai tujhe

Hind ka shah Muhammad ne

Banaya hai tuje

Kaise aayega koi
Harf hukumat pe teri
Panjatan paak ne kursi par
Bithaya hai tuje
Moinuddin




Kursi par koi bhi baithe

Raja toh mera Khwaja hai

Sare hind ka hai raja

Mera Khwaja Maharaja




Pyaara hai Hasnain ka

Beshak Nabi ki aal hai

Sanjar wala peer mera

Saiyyada ka laal hai

Mast hai mastan hai
Har haal mai khushal
Chishtiya daaman ko joh pakda
Woh maalamaal hai
Moinuddin




Kursi par koi bhi baithe

Raja toh mera Khwaja hai

Sare hind ka hai raja

Mera Khwaja Maharaja




Tu bardabar ki thokare

Ik baar khake dekh

Milta hai kya kisi se

Zaraa aazmake dekh

Tu jin se mil raha hai
Yeh saare ghulam hai
Raja ko dekhna hai
Toh Ajmer jaake dekh
Moinuddin




Kursi par koi bhi baithe

Raja toh mera Khwaja hai

Sare hind ka hai raja

Mera Khwaja Maharaja




Dar e Khwaja pe sawali ko

Khada rehne do

Sar nadamat se juka hai

Toh juka rehne do

Mujko mil jaaye ga sadka
Mai chala jaunga
Kasa e Dil mera kadmo me
Pada rehne do
Khud hi farmayenge mujrim pe
Woh rehmat ki nazar
Mujko Khwaja ki adalat me
Pada rehne do
Moinuddin




Kursi par koi bhi baithe

Raja toh mera Khwaja hai

Sare hind ka hai raja

Mera Khwaja Maharaja

Post a Comment

0 Comments