Ali Haidar ka gharana - HAFIZ TAHIR QADRI - Manqabat Lyrics

Ali Maula Ali Maula

Mankuntu Maula Ali Ali
Aqa ne bola Ali Ali
Mein jis ka maula Ali Ali
Hai us ka Maula Ali Ali
Zahra ka shohar Ali Ali
Hasanain ka baba Ali Ali
Ham sab ne pukara Ali Ali
Ali Maula

Bada maheboob gharana
Ali Haidar ka gharana 
Gulam inka hai zamana


Kiya sab kaam usi ki 
Riza mein raazi reh kar
Khuda ke deen ki khatir
Hazaron sadmein seh kar
Kare har dam shukrana
Ali Haidar ka gharana
Bada maheboob gharana
Ali Haidar ka gharana 

Kayadat hoke imamat
Wilayat hoke taharat
Sharafat hoke sadakat
Sakhawat hoke shuja'at
Har ek azmat ka thikana
Ali Haidar ka gharana
Bada maheboob gharana
Ali Haidar ka gharana 

Pukara jab mushkil mein 
Unhone ki lajpali
Sabhi mangaton ki pal mein
Bhari hai jholi khali
Jhuka jis dar pe zamana
Ali Haidar ka gharana
Bada maheboob gharana
Ali Haidar ka gharana 

Mankuntu Maula Ali Ali
Aqa ne bola Ali Ali
Mein jis ka maula Ali Ali
Hai us ka Maula Ali Ali
Zahra ka shohar Ali Ali
Hasanain ka baba Ali Ali
Ham sab ne pukara Ali Ali
Ali Maula

Bada maheboob gharana
Ali Haidar ka gharana 

Kadi mimbar te khad ke
Kadi medaan te lad ke
Kadi neze te chad ke
Kadi khutbe pad pad ke
Sikhave deen bachana
Ali Haidar ka gharana
Bada maheboob gharana
Ali Haidar ka gharana 

Edha Hajweri gadagar
Te gauso khwaja naukar
Lewe Attar salami 
Te sad sha'baz kalandar
Hai badeya sab dha thikana
Ali Haidar ka gharana
Bada maheboob gharana
Ali Haidar ka gharana 

Mein puchhya teri jag te
Hai tokeer wadhai
Te Mohseen kaun hai tera
Sada islam dhi aayi
Mendha Mohseen hai purana
Ali Haidar ka gharana
Bada maheboob gharana
Ali Haidar ka gharana

Post a Comment

0 Comments