Amina Ka laal Aaya - Naat Lyrics

Amina Ka laal Aaya, Amina Ka laal Aaya
Agaya woh noor wala, jis ki uchi shaan hai,
jis ki midhat main utara rab ne ye Quran hai,
Amina Ka laal Aaya, Amina Ka laal Aaya

Ho bayan kaise fazeelat Amina ke chand ki,
Us ki to har har ada par bolta Quran hai,
Amina Ka laal Aaya, Amina Ka laal Aaya

Jo kaha mere nabi ne woh hamesha sach howa,
ho bahoo tasleem karta aaj sciencedaan hai,
Amina Ka laal Aaya, Amina Ka laal Aaya

Amina tuj ko mubarak tere ghar jalwa figan,
Aaj woh mah he risalat nabiyun ka sultan hai,
Amina Ka laal Aaya, Amina Ka laal Aaya

Post a Comment

0 Comments