Jab ishk ne Rulaya Sarkar Ne bulaya - Naat Lyrics

Jab ishk ne rulaya
 Sarkar ne bulaya
Chamka mera mukaddar 
Mein madina dekh aaya

Wahan har taraf the saeel
Khairat bat rahi thi
Tha noor ka samandar
Rehmat baras rahi thi
Kya kya koi bataye
Kya kya nazare hi the
Kabhi jaliyon ko chuma
Kabhi hichkiyon se roye

Sarkar ne bula kar
Kya kya ata kiya hai
Be-noor mere dil ko
Purnoor kar diya hai
Jise chahe wo bana de
Jise chahe wo bulaye
Ho gada jo unke dar ka
Sultan wo bana de

Basta rahe hamesha
Madani ka aasatana
Palta hai jiske dam se
Akhtar zamana sara
Chehre nahin badalte
Us naam ka hai sadka
Dare aamena pe aaye
Aamena ke pyare

Jab ishk ne rulaya

 Sarkar ne bulaya
Chamka mera mukaddar 
Mein madina dekh aaya

Post a Comment

0 Comments