Kaun kehta hai dunya main Khushtar, koyi mera sahaara nahin hai
Naam hai jis ka pyara Muhammad ( ), kya woh Aaqa ( ) hamara nahin hai
Zindagi kay har eik paych-o-kham main ‘aish main aur ranj-o-alam main
Kab Rasool-e- mukarrram ko main nay shaam hi say pukaara nahin hai
Dil hai baychain jalta hai seena ye bhi jeenai may hai koyi jeena
Main kahan aur kahan hai Madeena mujhko doori gawaara nahin hai
Waqt hai ye tuloo - e- sehr ka hijre ranj-o-alam kay safar ka
Koyi ummeed ka hai shab-e- gham ab nazar main sitaara nahin hai
Yaad dil main hai aur aankh nam hai Shaah-e- Baghdaad ka ye karam hai
Main nay ulfat ka ye khail Khushtar jab bhi khaila hai haara nahin hai

0 Comments