Madeena Madeena Madeena Madeena
Yehi kehtay marna yehi kehtay jeena
Nazar gumbad-e- sabz par dil Madeena
Jo aisay main maut aa ay jeena hi jeena
Na poocho meri zindagi ka qareena
Madeena kabhi dil kabhi dil Madeena
Madeena say main duur mujh say Madeena
Yeh jeena hai ko-ee jeenay main jeena
Jo ishq-e- Muhammad ( ) main ho chaak seena
Meray bakhya gar isko hargiz na seena
Maza day raha hai gham-e -ishq-e- Aaqaa ( )
Jo girtay hain aansoo wo ban kar nageena
Tumhain doobtay jab kissi nai pukara
Har eik mauj ban kar kay aayi safeena
Jahan ko main baaghe iram say badal doun
Jo milja-e- Aaqa ( ) tumhara paseena
Na chehro mujhay ay nakeero na chehro
Woh dekho woh aa- ponh-chay Shahe Madeena
Yeh kaaba, yeh zamzam, Safa aur Marwah
Madeenay say hai sab ki rownaq Madeena
Yehi Aakhri hai tamanna - e- Khushtar
Idhar Rooh niklay Udhar ho Madeena
Yehi kehtay marna yehi kehtay jeena
Nazar gumbad-e- sabz par dil Madeena
Jo aisay main maut aa ay jeena hi jeena
Na poocho meri zindagi ka qareena
Madeena kabhi dil kabhi dil Madeena
Madeena say main duur mujh say Madeena
Yeh jeena hai ko-ee jeenay main jeena
Jo ishq-e- Muhammad ( ) main ho chaak seena
Meray bakhya gar isko hargiz na seena
Maza day raha hai gham-e -ishq-e- Aaqaa ( )
Jo girtay hain aansoo wo ban kar nageena
Tumhain doobtay jab kissi nai pukara
Har eik mauj ban kar kay aayi safeena
Jahan ko main baaghe iram say badal doun
Jo milja-e- Aaqa ( ) tumhara paseena
Na chehro mujhay ay nakeero na chehro
Woh dekho woh aa- ponh-chay Shahe Madeena
Yeh kaaba, yeh zamzam, Safa aur Marwah
Madeenay say hai sab ki rownaq Madeena
Yehi Aakhri hai tamanna - e- Khushtar
Idhar Rooh niklay Udhar ho Madeena
0 Comments