Mustafa Jaan e Rehmat Pey Laakhon Salaam
Sham’e Bazm e Hidayat Pey Laakhon Salaam
Shehr e Yaar e Iram Taajdaar e Haram
Nau Bahaar e Shafaa’at Pey Laakhon Salaam
Shab e Asraa Key Dulhaa Pey Daayam Durood
Nausha e Bazm e Jannat Pey Laakhon Salaam
Ham Ghareebon Key Aaqa Key Beyhad Durood
Ham Faqeeron Ki Sarwat Pey Laakhon Salaam
Neechi Nazron Ki Sharm o Haya Par Durood
Oonchi Beeni Ki Rif’at Pey Laakhon Salaam
Patli Patli Guley Quds Ki Pattiyaan
Un Labon Ki Nazaakat Pey Laakhon Salaam
Jis Sey Taareek Dil Jagmagaa Ney Lagey
Uss Chamak Waali Rangat Pey Laakhon Salaam
Jis Suhaani Gharee Chamka Taibah Ka Chand
Uss Dil Afroz Saa’at Pey Laakhon Salaam
Kaash Mehshar Mey Jab Unki Aamad Ho Aur
Bheyjey Sab Unki Shaukat Pey Laakhon Salaam
Mujh Sey Khidmat Key Qudsi Kahain Haan Raza

0 Comments