Raza Usi Ka Naam - Manqabat Lyrics

Jo Sunniyat Ki Shaan Hai, Jo Qaum Ka Imaam Hai
Nabi Ka Jo Ghulam Hai, Raza Usi Ka Naam
Jo Razviyon Ki Shaan Hai, Jo Chishtiyon Ki Aan Hai
Wo Qaadiri Pathaan Hai, Raza Usi Ka Naam Hai

Raza Raza Raza Raza,  Raza Raza Raza Raza,  Raza Raza

Naqi Ka Pyara Laadla, Jo Ilm Ka Pahaad Hai
Jo Najdiyoun Ke Waaste To Sher Ki Dahaad Hai
Wahabi Jis Se Darr Gaye, Bohat Se Hi Sudhar Gaye,
Ye Jiska Faiz E Aam Hai, Raza Usi Ka Naam Hai

Raza Raza Raza Raza,  Raza Raza Raza Raza,  Raza Raza

Naseeb Wale Dekhte Hain Khwaab Me Huzoor Ko
Magar Kisine Jaagte Me Dekha Haqq Ke Noor Ko
Hai Aisa Kon Dosto? Batata Hu Suno Suno
Wo Ishq Ka Imaam Hai, Raza Usi Ka Naam Hai

Raza Raza Raza Raza,  Raza Raza Raza Raza,  Raza Raza

RazaKe Baad Mustafa Raza Hume Ataa Huve
Jinhone Har Mureed Ko Milaya Ghous E Paak Se
Abb Aysa Peer Hain Kahan? Siwaye Azhari Miyaan
Diya Hume Inaam Hai Raza Usi Ka Naam Hai

Raza Raza Raza Raza,  Raza Raza Raza Raza,  Raza Raza

Ya Rabb Janabe Muftiye Aazam Ki Khair Ho
Unse Hamare Dard Ka Darma Hai Aaj Bhi
Ya Rabb Hamare Hazrat E Akhtar Ki Khair Ho
Jinse Raza O Noori Ka Faizaan Hai Aaj Bhi

Raza Ke Baad Mustafa Raza Ka Dariya Dekhiye
Hamare Pyaare Azhari Miyan Ka Jalwa Dekhiye
Haram Mein Rutba Paa Gaye, Zamane Mein Jo Chha Gaye
Ye Jiska Faiz E Aam Hai, Raza Usi Ka Naam Hai

Raza Raza Raza Raza,  Raza Raza Raza Raza,  Raza Raza

Deen O Dunya Ki Hai Isme Hi Behtari
Dosto Thaam Lo Daaman E Azhari
Naaz Jin Pe Kare Aaj Khud Rehbari
Aysa Peer E Tareeqat Salamat Rahe
Main Rahu Na Rahu Is Jahaan Mein Magar
Mera Taaj E Shariat Salamat Rahe

Raza Ke Baad Mustafa Raza Ka Dariya Dekhiye
Hamare Pyaare Azhari Miyan Ka Jalwa Dekhiye
Haram Mein Rutba Paa Gaye, Zamane Mein Jo Chha Gaye
Ye Jiska Faiz E Aam Hai, Raza Usi Ka Naam Hai

Raza Raza Raza Raza,  Raza Raza Raza Raza,  Raza Raza

Raza Se Miloge To Khil Jaoge, Aur Raza Se Jaloge To Jal Jaoge
Ahmed Raza Ka Taaza Gulistaan Hai Aaj Bhi
Khursheed E Ilm Unka Darakshaan Hai Aaj Bhi
Tum Kya Gaye Ke Rounaq E Mehfil Chali Gayi
Sher O Adab Ki Zulf Pareshaan Hai Aaj Bhi
Baad E Wisaal Ishq E Nabi Kam Nahi Hua
Rooh E Raza Huzoor Pe Qurbaan Hai Aaj Bhi

Sab Unnse Jalne Walo Ke Ghul Ho Gaye Chiraagh
Ahmed Raza Ki Sham'a Firoza Hai Aaj Bhi

Raza Se Jalne Walon Ke Diye Na'em Bujh Gaye
Jo Maslak E Raza Se Aur Salaam Se Ulajh Gaye

Nicha Karne Ko Kitne Ade Reh Gaye
Aala Hazrat Bade The Bade Reh Gaye

Raza Se Jalne Walon Ke Diye Na'em Bujh Gaye
Jo Maslak E Raza Se Aur Salaam Se Ulajh Gaye
Ye Aisa Ik Salaam Hai Zamane Mein Jo Aam Hai
Ke Jiska Ye Salaam Hai Raza Usi Ka Naam Hai

Raza Raza Raza Raza,  Raza Raza Raza Raza,  Raza Raza

Rouz E Mehshar Agar Mujhse Pooche Khuda
Bol Aal E Rasool Tu Laaya Hai Kya
Arz Kar Dunga Laaya Hu Ahmed Raza
Ya Khuda Ye Amanat Salamat Rahe

Kaha Raza Ke Peer Ne, Jahaan Ke Dastageer Ne
Wali E Be-Nazeer Ne, Ke Peeron Ke Bhi Peer Ne
Jo Puchega Agar Khuda Ke Tohfa Saath Laaye Kya
Kahega Aal E Mustafa Raza Raza Raza Raza

Raza Raza Raza Raza,  Raza Raza Raza Raza,  Raza Raza

Wo Ismail dahelwi Wo Sharrefel Thanwi
Wo Qasim E nanotwi Wo Kawwe Wala Molvi
Sabhi Ka Band Naatqa Qalam Se Jisne Kar Diya
Wo Kaun Hai Wahi To Hai Raza Usi Ka Naam Hai

Post a Comment

0 Comments