Sarkaar e Do ‘Aalam Ki Nazar Mujh Pey Paree Hai - Qari Rizwan - Naat Lyrics

Sarkaar e Do ‘Aalam Ki Nazar Mujh Pey Paree Hai
Pohchaa Hoon Wahan Khuld e Bareen Ki Jo Gali Hai

Aaya Jo Madiney Mey To Qismat Ney Pukaara
Bigri Huwi Taqdeer Yahan Aakey Banee Hai

Qadmon Ko Zara Hosh Sey Is Khaak Pey Rakhna
Yeh Koo-e-Nabi Hai Arrey Yeh Koo-e-Nabi Hai

Mehshar Ki Karee Dhoop Ka Khatka Nahi Mujh Ko
Chaadar Merey Sarkaar Key Geysu Ki Tanee Hai

Lillah Mujhey Apna Rukhey Zaibaah Dikhaado
Palkon Mey Meyri Deed Ki Khaatir Namee Hai

Aaqa Key Dar e Paak Key Mangtey Hain Malaa-ik
Maayoos Nahi Koi Yeh Darbaar e Nabi Hai

Dey Daaliye Mujh Ko Bhi Ghulaami Ki Sanad Ab
Bakhshish Ko Merey Shah Yeh Khairaat Baree Hai

Shab Rotey Huwey Sajdey Mey Sarkaar Guzaarain
Ummat Ki Ho Bakhshish Yahi Armaan e Nabi Hai

Allah Ko Mehboob Sey Kitni Hai Mohabbat
Haan Taaha Wa Yaaseen Mey Asraar e Jali Hai

Bulwatey Rahey Mujh Ko Madiney Mey Hameysha
Ummeed Meyri Aap Sey Sarkaar Yahi Hai

‘Aalam Mey Musalmaan Pareyshaan Hain Pareyshaan
Bey Cheyn Nazar Aap Key Dar Pey Hee Jamee Hai

Maangey Hee Chaley Jaao Yahan Milta Hain Sab Kuch
Kis Cheez Ki Dar Par Merey Maula Ki Kamee Hai

Shakir Na Ho Ghamgeen Teyri Jholi Bharain Gey
Moonh Maanga Mileyga Key Yeh Darbaar e Nabi Hai

Post a Comment

0 Comments