Ujala jiska hai do jahan me wo mere aaqa ki roshni hai - Naat Lyrics

Ujala jiska hai do jahan me wo mere aaqa ki roshni hai
Unhi ke qadmon ki barkaton se ye zindagi aaj zindagi hai

Durood padhna salaam padhna har ek pal unka naam padhna
Jo arz karna unhi se karna sikhaya rab ne hame yahi hai

Hisab ka din kathin to hoga magar hame unka aasra hai
Wo aa hi jayenge bakhswane shafa'at unhi ko ata hui hai

Kahan hai duniya me shehar aisa madine jaisa madine jaisa
Hai fakhre jannat zameen ka tukda jahan pe lehde nabi bani hai

Wo khusbu e zulfe Mustafa hai ki mushk bhi hech jiskw aage
Mahekti galiyan yeh keh rahi hai sawaari unki abhi gayi hai

Unhi ka charcha hai aasman par zameen pe bhi zikr hai unhi ka
Har ek gul me har ek kali me mahek unhi ki basi hui hai

Wo sabz gumbad wo unka rouza wo unki masjid ka gosha gosha
Kadam kadam par lage hai aisa falak se jannat utar padi hai

Wahi hai Ahmed wahi Muhammad wahi hai Mehmood wo hai Haamid
Hamid wo hai Saeed wo hai unhi se nazmi ki lau lagi hai

Post a Comment

0 Comments