Zikre aaqa se sina saja hai
Ishq hai yeh tamasha nahi hai
Wo bhi dil koi dil hai
Jaha me jisme taswire taiba nahi hai
Zikre aaqa se sina saja hai
Ishq hai yeh tamasha nahi hai
Lamaka tak hai teri rasai
Geet gaati hai sari khudai
Wo jagah hi nahi hai do jaha me
Jis jagah tera charca nahi hai
Zikre aaqa se sina saja hai
Ishq hai yeh tamasha nahi hai
Hum hussaini hai karbal ke shaida
Dil kabhi bhi na hota hai maila
Kufr ki dhamkiyo se dare jo
Aashiko ka kaleja nahi hai
Zikre aaqa se sina saja hai
Ishq hai yeh tamasha nahi hai
Dushmane Mustafa se yeh kai do
Khair chahe to hum se na uljhe
Hum gulamane Ahmed Raza hai
Koi bhu hum se jita nahi hai
Zikre aaqa se sina saja hai
Ishq hai yeh tamasha nahi hai
Khaak e paye nabi muh pe malna
Itr ho Mstafa ka pasina
Unki chaadar ka tukda kafan ho
Aur koi tamanah nahi hai
Zikre aaqa se sina saja hai
Ishq hai yeh tamasha nahi hai
Hajj ki daulat jise milna paye
Jaye jaye wo ghar apne jaye
Maa ke kadmo ko chumle jo
Sange aswad ko chuma nahi hai
Zikre aaqa se sina saja hai
Ishq hai yeh tamasha nahi hai
Aay meri maut rukh ja abhi tu
Fir chalenge jaha tu kahe gi
Apni aankhen tasawur me taiba
Mai ne ji bhar ke dekha nahi hai
Zikre aaqa se sina saja hai
Ishq hai yeh tamasha nahi hai
0 Comments