Bohot din hoo gaye Taiba ke raste dekh to Aayein
Chalo uss Shehr ko ik baar phir se dekh to Aayein
Uttar jaayegi mehroomi ki chaadar Shehr-e-Taiba mein
Chamak utheinge qismat ke sitaare dekh to Aayein
Judaai ke dhuleinge naqsh gehre dil ki takhti se
Charhega rang qurbat wo, nazaare dekh to Aayein
Ussi din aarzuon ke khandar mein roshni hogi
Dar-e-Sarkaar ke roshan ujaale dekh to Aayein
Huzoori ki wo pehli pehli saa’at khoob rulaati hai
Nigaahon ko ussi dar ki tallab hai dekh to Aayein
Haseen palkhon ka chilmann kholeinge jaa kar Madine mein
Sadaa aankhon mein rakheinge wo jalwe dekh to Aayein
Mehekti khushbooein khud hi pataa uss Shehr ka deingi
Ujaagar utho himmat karlo chalke dekh to Aayein
Bohot din hoo gaye, Taiba ke raste dekh to Aayein

0 Comments