Charche hain yehi ghar ghar - Naat Lyrics

Charche hain yehi ghar ghar,
Eidon ki hai eid aayi,
Aaye hain Nabi Sarwar,
Eidon ki hai eid aayi,

Kiya koonch hawaaon ne,
Di khabar fizaaon ne,
Badle hai sabhi manzar,
Eidon ki hai eid aayi,

Charche hain yehi ghar ghar,
Eidon ki hai eid aayi,
Aaye hain Nabi Sarwar,
Eidon ki hai eid aayi,

Kaha baagh bahaaron ne,
Sayyaar sitaaron ne,
Kehte hain hain shams-o-qamar,
Eidon ki eid aayi,

Charche hain yehi ghar ghar,
Eidon ki hai eid aayi,
Aaye hain Nabi Sarwar,
Eidon ki hai eid aayi,

Rahmat ka phera huwa,
Sab door andhera huwa,
Gayi raat aur aayi sahar,
Eidon ki eid aayi,

Charche hain yehi ghar ghar,
Eidon ki hai eid aayi,
Aaye hain Nabi Sarwar,
Eidon ki hai eid aayi,

Khush momin hone lage,
Aur shaytaan rone lage,
Jis waqt suni ye khabar,
Eidon ki eid aayi,

Charche hain yehi ghar ghar,
Eidon ki hai eid aayi,
Aaye hain Nabi Sarwar,
Eidon ki hai eid aayi,

Na kabhi gabraaya kar,
Tu jashn manaaya kar,
Khush ho ke yahi Sagar,
Eidon ki eid aayi,

Charche hain yehi ghar ghar,
Eidon ki hai eid aayi,
Aaye hain nabi sarwar,
Eidon ki hai eid aayi,

Post a Comment

0 Comments