Ik roze ho gaa jaanaa sarkar ki gali main - Naat Lyrics

Ik roze ho gaa jaanaa sarkar ki gali main,
Ho ga khabi tikanaah sarkar (sallallahu alaihi wassalam) ki gali main,

Ankhein tu dekhne ko pehley hi muztarib theen,
Dil bhi huwaa ruwanaa sarkar (sallallahu alaihi wassalam) ki gali main,

Go paas kuch nahi hai lekhan yaa dekh lay gaa,
Ik din hamien zamaanah sarkar (sallallahu alaihi wassalam) ke gali main,

Kabhi ho haseen tasawar khabi khud main jaaoon chal kar,
Rahe yuunhi aanaa jaanaa sarkar (sallallahu alaihi wassalam) ke gali main,

Hain kaheen khazaan ke pehray kaheen do gharhii bahaaray,
Mosam sadaa suhana sarkar (sallallahu alaihi wassalam) ke gali main,

Dil main nabi ki yaadien lab pe nabi ki na’tein,
Jaanaa tu aese jaanaa sarkar (sallallahu alaihi wassalam) ke gali main,

Samjhein gey ham Niazii un ki karam nawaazi,
Jis din huwey rawaanah sarkar (sallallahu alaihi wassalam) ke gali main.

Post a Comment

0 Comments