Itna kaafi hai zindagi ke liye - Naat Lyrics

Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Aaqa jo naukri ke liye
Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Sarkar chaakri ke liye

Takk unko Ayyub ke ghar mein
Mahel tarse hain jhomprri ke liye

Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Aaqa jo naukri ke liye

Aagaye qabr mein bhi churrwaane
Dard kitna hai ummati ke liye

Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Aaqa jo naukri ke liye

Lambe sajde kiye Nabi ne kaha
Aye Nawaase teri khushi ke liye

Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Aaqa jo naukri ke liye

Chaand taare bhi Unke qadmon mein
Roz aate hain roshni ke liye

Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Aaqa jo naukri ke liye

Doobe suraj ko phirse palltaya
Apne pyare Maula Ali ke liye

Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Aaqa jo naukri ke liye

Khud darakht bhi jarrein ukhare
Aate hain paas Unke haazri ke liye

Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Aaqa jo naukri ke liye

Mehfil-e-amaad sajji rahe ta umar
Iltija yehi hai zindagi ke liye

Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Aaqa jo naukri ke liye

Aye kash aaye woh maqaam bhi
Jiyein bas ham Aaqa ki ashiqui ke liye

Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Aaqa jo naukri ke liye

Deed maangi hai Unki aye Haakim
Maine bass waqt-e-aakhri ke liye

Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Aaqa jo naukri ke liye
Itna kaafi hai zindagi ke liye
Rakh lein Sarkar chaakri ke liye

Post a Comment

0 Comments