Katle Hussain asal mein marge Yazeed hai - Manqabat Lyrics

Katle Hussain asal mein marge Yazeed hai
Islam zinda hota hai har karbala ke baad

Ohh Shimar leyin zalim kya zulm kiya tu ne
Pyasa hi gala kata Pani na diya tu ne

Laash ayi jab Asghar ki Maan kehne lagi roo ke
Pyasa ki gala kata pani na diya tu ne

Wo kis ke nawase hai bhoke hai ya pyase hai
Itna bhi na socha mardood zara tu ne

Sar apna kataya itni bhi parwa na ki tu ne batil ki
Saabhaas tujhe Ae hud kya kaam kiya tu ne

Mar kar bhi kabhie zalim aaram na paye ga
Baagh-e-ghul Ahmad ko paamaan kiya tu ne

Post a Comment

0 Comments