Madinah deykhney ki aarazu hai meray seenay mein
Ilahi! woh ghadi aaey keh mein pohonchun Madiney mein
Hai mukhda wa-Duhah ka, zulf hai wal-Layl ki Teri
Ghulaab-o-mushk sey barh kar hai bu Teray paseenay mein
Karein gey mujh sey aasi par bhi woh lutf ki baarish
nah tha yeh qiyaas mein meray, nah tha meray qareeney mein
Makeen-e-Ghunbad-e-Khazra! bula lo Apney qadmon mein
Teri doori key nishtar rowz-o-shab chubhtey hein seenay mein
Hun baada-e-khwaar Abid aur mey khanah ho woh jis mein
ho Saaqi, saaqi Kauser mazah aajaaey peenay mein

0 Comments