Muhammad Nabiyyina - Naat Lyrics

Muhammad Nabiyyina, Muhammad Nabiyyina,
Ya Shahe Madina, Ya Shah-e-Madina
Teri judai mein pal pal jalta hai yeh seena,
Muhammada, Muhammada, Muhammada, Muhammada,

Tez bohat hai dhaara,
Mera koun sahaara,
Kar do ek ishaara,
Toofan banne kinaara
Tere hawale hai Aaqa, yeh mera safeena.

Muhammada, Muhammada, Muhammada, Muhammada,

Waqt-e-naza jab aa jaaye,
Mujh pe karam yeh ho jaaye,
Aal-e-Aba ke ho saaye,
Naam Tera lab pe jab aaye,
Mohsin ko ho jaaye ata, bas Khaak-e-Madina.

Muhammada, Muhammada, Muhammada, Muhammada,

Yeh betaab nigaahein,
Har damm ashq bahaaye,
Dil deta hai sadaaye,
Qadmon mein bulaaye,
Gardish mein hai sitaara, mushkil ho gaya jeena.

Muhammada, Muhammada, Muhammada, Muhammada,

Muhammad Nabiyyina, Muhammad Nabiyyina,
Ya Shah-e-Madina, ya Shah-e-Madina
Teri judai mein pal pal jalta hai yeh seena,
Muhammada, Muhammada, Muhammada, Muhammada,

Post a Comment

0 Comments