Na baharein na hi gulzaar nazar aate hain
Jiss taraf dekh lo Sarkar nazar aate hain
Aaj bik jaun, ke yeh mauka na ayega kabhi
Aaj woh khud hi kharidaar nazar aate hain
Aise lagta hai mere Aaqa challe aate hain
Raqs karte dar-o-deewar nazar aate hain
Ankh se ansoo nahi, sajde gira karte hain
Jab tere Gumbad-o-Minaar nazar aate hain
Jis ki qismat mein ho Taiba ki galli ke phere
Woh na jannat ke tallabgaar nazar aate hain

Wajd karte dar-o-deewar nazar aate hain
Qadmon ka kaam hai yeh dagmaagate hain
Dil to gir jaayein jahaan wahin parre rehte hain
Unke aane ki gharri hai woh hain aane waale
Mere Sarkar ki mehfil ko hum saajaye hue hain
Maine meraj ki shab baat yeh jaani hai Sammi
Jo ho Dilbar unhein Dildaar nazar aate hain

0 Comments