Neamatein baant ta jis simt woh zeeshaan gaya - Naat Lyrics

Ne’amatein baant ta jis simt woh zeeshaan gaya
Saath hi munshiaey rehmat ka qalam daan gaya

Le khabar jald ke ghairon ki taraf dhiyaan gaya
Mere Maula mere Aqa tere qurbaan gaya

Aah woh aankh ke nakaame tamanna hi rahi
Hai woh dil jo tere dar se pur arman gaya

Dil hai woh dil jo teri yaad se ma’moor raha
Sar he woh sar jo tere Qadmon pe qurbaan gaya

Unhein jana unhein mana na rakhha ghair se kaam
Lillah Al Hamd mai duniya se Musalmaan gaya

Aur tum par mere Aqa ki Inayat na sahi
Najdiyo! Kalmah padhane ka bhi ehsaan gaya

Aaj le unki Panah aaj madad maang unse
Phir na maanege Qayamat mein agar maan gaya

Uff ray munkar yeh badha joshe ta’assub akhir
Bheed me haath se kam bakht ke Imaan gaya

Jaano dil hosh wa khirad sab to Madine pahonche
Tum nahi chalte Raza sara to samaan gaya

Post a Comment

0 Comments