Koi mansoor koi ban ke ghazali aaye,
Unke darbar se hokar joh sawali aaye.
Ho mere bas me toh mai dilme basa lu unko,
Choom kar joh mere Sarkar ki jaali aaye.
Koi mansoor koi ban ke ghazali aaye,
Unke darbar se hokar joh sawali aaye.
Unki rehmat ko toh yeh baat gawara nahi,
Unki chowkhat pe koi jaaye toh khaali aaye.
Koi mansoor koi ban ke ghazali aaye,
Unke darbar se hokar joh sawali aaye.
Unke altaf karam badhke kharee denge unhe,
Aaj bhi leke koi zauke bilali aaye.
Koi mansoor koi ban ke ghazali aaye,
Unke darbar se hokar joh sawali aaye.
Unka jalwa toh hai maujood jahan bhi lekin,
Koi lekar toh nazar dekhne waali aaye.

0 Comments