Rasoolallah Ka Jalwa Hai, Jalwa Ghaus-Ul A’zam Ka
Ajab Pyaara, Ajab Aala Hai, Naqsha Ghaus-Ul A’zam Ka
Farishtey Raukte Hai(N) Kyo(N), Mujhe Jannat Mei(N) Jaane Do
Yeh Dekho Haath Mei(N), Daaman Hai Kis Ka, Ghaus-Ul A’zam Ka
Meri Phooti Hui Taqdir Ki, Qismat Hi Chamak Jaaey
Banaaey Mujh Ko Sag Apna, Jo Kutta Ghaus-Ul A’zam Ka
Azizo Kar Chuko Tayyaar, Jab Mere Janaazey Ko
To Likh Dena Kafan Par, Naam Leva Ghaus-Ul A’zam Ka
Jab Lahad Mei(N) Farishtey Mujh Se Puchei(N), To Keh Dunga
Tariqe Qaadri Hu(N), Naam Leva Ghaus-Ul A’zam Ka
Thikaana Us Ke Niche, Ya Khuda, Mil Jaaei(N) Ham Ko Bhi
Khada Ho Hashr Mei(N) Jis Waqt, Jhanda Ghaus-Ul A’zam Ka
Khuda Ke Fazal Se Ham Par Hai, Saayaah Ghaus-Ul A’zam Ka
Hame Dono(N) Jahaa(N) Mei(N) Hai, Sahaara Ghaus-Ul A’zam Ka
Ghaus-Ul A’zam Dulha Aur Baraati Auliya Ho(N)Ge
Maza Dikhlaaega Mehshar Mei(N), Sehra Ghaus-Ul A’zam Ka
Hamaari Laaj Kis Ke Haath Mei(N), Baghdaad Waale Ke
Musibat Taal Dena Kaam Kis Ka, Ghaus-Ul A’zam Ka
Khudaavanda, Dua Maqbool Kar, Ham Rosiyaaho(N) Ki
Gunaaho(N) Ko Hamaare Bakhsh, Sad’qah Ghaus-Ul A’zam Ka

0 Comments