Zehre saya ae Ghumbad raat ka basera hai
Aur sunahri jali mein rohnama sawera hai
Jabaja Madine mei hajioun ka dehra hai
Mustafa ke koche mein saailoun ka peera hai
Kitni khuld manzar hai raat bhi Madine ki
Aik zara ujala hai aik zara andhera hai
Tahiroun ki jurmat mein wo kalas ka nazara
Shama ko pathangoun ne har taraf se geera hai
Meri khush naseebi par rashq aye Rizwan ko
Mustafa agar keh dei ye Ghulam mera hai
Kabar mein farishtoun se jab Nabi ne farmaya
Jaao is ko sohne do ye Ghulam mera hai
Raat bhi Madine ki din se kam nahi Ajmal
Shaam bhi Madine ki khushnama saweera hai

0 Comments