Apnay daaman main chupalain to bahut ach-cha ho
Khauf-e-mehshar say bachalain to bahut ach-cha ho
Youn to har chah-nay wala hai tumhara aaqa
Mujh ko bhi apna banalain to bahut ach-cha ho
Main Khataa kaar, gunahgaar, siyaah kaar sahi
Aap hi ka houn bacha lain to bahut ach-cha ho
Naza hai qabr hai, Mehshar hai, saray meezaan hai
Main gira mujh ko sambhalain to bahut ach-cha ho
Ronay waalon ko ho muzdah kay duaein maangein
Aissay main ashk bahaalein to bahut ach-cha ho
Ankhein hon band to bas lab pay ho Allah Allah
Naqsh youn dil pay jamaalein to bahut ach-cha ho
Mo ‘minon nafs kay zun-naar say kya hai rishta
Ham issay torr hi daalain to bahut ach-cha ho
Teray hi dar pay rahoun teray hi tukron pay paloun
Sag mujhay aissa banalain to bahut ach-cha ho
Saaya-e-Gumbad-e-Khazra ho muqaddar apna
Mujh ko youn paas boulaalain to bahut ach-cha ho
Jashn-e-nawroz shab-o-roz say bach kar Khushtar
Jashn-e-Meelaad manaalain to bahut ach-cha ho

0 Comments