Yeh Saaray Ambiya aa ay jo Khushtar Muqtada ban kar - Naat Lyrics

Yeh Saaray Ambiya aa ay jo Khushtar Muqtada ban kar
Khabar Lay Kar unhein aana tha aa ay mubtada ban kar

Wohi jo Arsh par tha jalwah gar noor-e-Khuda ban kar
Madeena main basad anwaar aaya Mustapha ( ) ban kar

Tumhein jab doob-nay waalon nay ay aaqa pukara hai
Madad ko khud talatum aagaya hai naakhuda ban kar

Jab unkay ummati khairul umam tehray zamanay main
Issi say munkiro samjho woh aa ay hongay kya ban kar

Madeena kardiya yathrab ki qismat hi badal daali
Qudoom - e -Naaz jab aa ay bahaar jaanfiza ban kar

Mujhay mangta banaday ya Ilahi tu issi dar ka
Jahan par baar ha Jibreel aa ay hain gada ban kar

Dayar-e-paak ka rutba bata la uqsim unko
Jo Kaabay say bazam khud chahlay hain basafa ban kar

Malaik sar par laykar aay hain amaal naamay ko
yeh hoga paish dawar ab qasida naat ka ban kar

Madeena jab nahin dekha to phir dekha hi kya Khushtar
Hazaar aay koyi baytul haram say baasafa ban kar

Post a Comment

0 Comments