Chhod fikr duniya ki
Chal madine chalte hai
Ae kash koi akar keh de mere kano me
Chal tujko madine me sarkar bulate hai
Chal madine chalte hai
Banega jane ka fir bahana
Kahega akar koi divana
Chalo Niyazi tumhe madine
Madine vale bula rahe hai
Chal madine chalte hai
Dil ki hasrat ko puri farmae
Is tarha mujko tayba bulae
Mere murshid ye mujse farmae
Aao tayba ko sath chalte hai
Chal madine chalte hai
Kya karega idhar mang rakhte safar
Chal Ubed-e-raza mai madine chala
Lutf to jab hai ke
Chal Ubed-e-raza mai madine chala
Zindagi chahie to madine chalo
Gar khushi chahie to madine chalo
Zindagi chahie to madine chalo
Sari masti madine ki galiyo me hai
Kaif sare ka sara madine mai hai
Chal madine chalte hai
Amena ke pyare ka sabz gumbad vale ka
Jashn ham manate hai jalne vale jalte hai
Chhod fikr duniya ki
chal madine chalte hai
Amena ke pale ka kali zulf vale ka
Jashn ham manate hai jalne vale jalte hai
Naate ham sunate hai jalne vale jalte hai
Chhod fikr duniya ki
Rehmato ki chadar ke sar pe saye chalte hai
Mustafa ke divane ghar se jab nikalte hai
chal madine chalte hai
Naksh karle sine par nam-e-sarvar-e-di ko
Ye vo nam hai jis se sab azab talte hai
Chal madine chalte hai
Sirf sari duniya me vo tayba ki galiya hai
Jis jagah par muj jaise khote sikke chalte hai
Chal madine chalte hai
Zikr-e-shahe bat'ha ko vird apna bana lijie
Ye vo zikr hai jis se gam khushi me dhalte hai
Sach hai gair ka ehsan ham kabhi nahi lete
Ae ALIM aqa ke ham tukdo pe palte hai
Chal madine chalte hai
0 Comments