Dare nabi par para rahoon ga
pade hi rehne se kaam hoga
Kabhi to qismat khule gi meri
Kabhi to mera salam hoga
Khilafe mhmoob kuch huwa hai
Na koi aashiq se kaam hoga
Khuda bhi hoga udhar bhi aye dil
Jidhar woh aali maqam hoga
Kiye hi jaoon ga arz matlab
Milega jab tak na dil ka matlab
Na shaam e matlab ki subha hogi
Na yeh fasana tamam hoga
Jo dil se hai ma’il-e-payambar
Yeh is ki pehchan hai muqarrar
Ke har dam is be nawa ke lab par
Durood hoga salam hoga
Isi tawaqqo pe ji raha hoon
Yehi tamanna jila rahi hai
Nigahe lutfo karam na hogi
To mujh ko jeena haram hoga
Dare nabi par para rahoon ga
Pade hi rehne se kaam hoga
Kabhi to qismat khule gi meri
Kabhi to mera salam hoga
0 Comments