Jaam ulfat ka pila do Ya Rasool - Owais Raza Qadri - Naat Lyrics

Jaam ulfat ka pila do Ya Rasool
Apna divana bana do Ya Rasool

Meri kismat ko jaga do Ya Rasool
Ek jalak apni dikha do Ya Rasool

Khvab main tashrif lakar ek baar
Bhik ka sharbat pila do Ya Rasool

Aa gaya bimar ae mere tabeeb
Do shifa e kamila do Ya Rasool

Umar bhar teri sana khvani karun
Har rukavat ko hata do Ya Rasool

Bakhsh dega har khata meri khuda
Tum zara lab ko hila do Ya Rasool

Chand ko ungali se mahde paak me
Jis taraf chaho juka do Ya Rasool

Suee mil jaye andhera bhi ho zar
Tum jo aa kar muskura do Ya Rasool

Abu Jahal ke hath me kankar se bhi
Chaho to kalma padah do Ya Rasool

Kar nahi sakta sana teri Ubaid
Do salika e sana do Ya Rasool

Wo kabhi bhi uth nahi sakta jise
Tum nigahon se girado Ya Rasool


Post a Comment

0 Comments