Kuch na poocho maqaam Khwaja ka - Manqabat Lyrics

Kuch na poocho maqaam Khwaja ka
Arshion may hai naam Khwaja ka

Da ‘wat-e-deen kaam Khwaja ka
Sab ki khidmat nizaam Khwaja ka

Hind taa Chisht Kaam Khwaja ka
Boal baala hai naam Khwaja ka

Unki manzil hijaab ‘azmat hai
Arsh hai eik gaam Khwaja ka

Yeh Patan paak Dehli o Kalyar
Sab ko paya maqaam Khwaja ka

Dost to dost aaj dushman bhi
Latay rehtay hein naam Khwaja ka

Chishti manzil bihisht ki manzil
Baam baalay baam Khwaja ka

Eik muslim hi kya kay hindu bhi
Karta hai ehteraam Khwaja ka

Sab ki poori muraad hoti hay
Hai ye Faizaane ‘aam Khwaja ka

Yeh jo Khushtar hai Qadri Razvi
Yeh bhi hai eik ghulaam Khwaja ka

Post a Comment

0 Comments