Dilon kay gulshan mehek rahay heyn yay kef kyun aaj aa rahay heyn
Kuchh esa mahsoos ho raha he huzur tashreef laa rahay heyn
Nawazishon par nawazishayn heyn inaayaton par inayatayn heyn
Nabi ki naatayn suna suna kar ham apni qismat jaga rahay heyn
Kahiin pay ronaq he mekashon ki kahiin pay mehfil he dil jalon ki
Wo kitnay khush bakht heyn jo apnay nabi ki mehfil saja rahay heyn
Na paas pi ho to soona saawan wo jiss say raazi wohi suhaagan
Jinhon nay pakra nabi ka daaman unhi kay ghar jagmaga rahay heyn
Khaan ka mansab kahaan ki dolat qasam khuda ki yay he haqiqat
Jinhayn bulaya he mustafa nay wohi madinay ko ja rahay heyn
Habeeb e daawar ghareeb parwar rasool e akram karam kay pekar
Kisi ko dar pay bula rahay heyn kisi ki khuabon mayn a rahay heyn
Meyn apnay kherulwara kay sadqay meyn unki shaan e ata kay sadqay
Bhara he ebon say mayra daaman huzur phir bhi nibha rahay heyn
Banay ga jaanay ka phir bahana kahay ga aa kar koii deevana
Chaloniyaazi tumhayn madinay madinay waalay bula rahay heyn

0 Comments