Do jahaan ke Wali ka do jahaan pe saya hai - Naat Lyrics

Do jahaan ke Wali ka do jahaan pe saya hai
Unko to Khuda ne Unki marzi se banaya hai

Noori noori talwe hai, kaise pyare jalwe hai
Chand Unke jalwo ki bheek lene aaya hai

Barkato ki raile hai, nooriyo ki mele hai
Haleema teri kotya me Kaun muskuraya hai

Toor par kaha Rabb ne, Lan Taraani Musa
Lekin mere Aaqa ko, (Rabb ne) arsh par bulaya hai

Nabiyo ne salami di, waliyo ne ghulami ki
Sar pe Unke Khaaliq ne taaj woh saja hai

Mauj mein jab Aate hain, Woh taajwar banate hain
Sab pe hai karam Nasir, apna ya paraya hai

Wadduha ka Chehra hai, Taha ka Sehra hai
Unke muskurane se zamana jagmagaya hai

Do jahaan ke Wali ka do jahaan pe saya hai
Unko tho Khuda ne Unki marzi se banaya hai

Post a Comment

0 Comments