Har dum ho mera vird madina hi madina - Naat Lyrics

Har dum ho mera vird madina hi madina
bas yaad teri dil me rahe roz-o-shabina

wo lamha wo din aur wo aajaye mahina
phir kash tadapta huva pahunchu mai madina

sina ho madina mera sina so madina
ban jaye mera dil teri ulfat ka khazina

aaye noo-e-khuda noor bhari dil pe nazar ho
ho noor se pur noor ye be noor nagina

sarkar tamanna hai yuhi umr basar ho
bas teri mohabbat me ho marna jina

saqi muhje jaam aaisa mohabbat ka pilade
utre na kabhi iska nasha aai sha-e-madina

tum qak-e-madina mere lashe pe chidakna
phir malna kafan par jo mile un ka pasina

ATTAR talab gaar hai bas unke karam ka
lillah karam jane karam bahre madina

Post a Comment

0 Comments