Har taraf anwar ki barsat hai - Naat Lyrics

Har taraf anwar ki barsat hai,
Mehfil-e-Sarkaar ki kya baat hai.

Raat jo guzri Nabi kay zikr mein,
Din se behtar woh hamari raat hai.

Kyun mein mangoon jab mere kashkol mein,
Naqsh-e-Naal-e-Paak ki khairaat hai.

Kyun pareshan hoon mein uqhba key liye,
Shafa-e-Rauz-e-Jaza woh Zaat hai.

Wali-e-kaun-o-makaan kay zikr say,
Wajd mein yeh sari kainaat hai.

Yoon to gumbad hai jahaan mein har jagah,
Gumbad-e-Khazra teri kya baat hai.

Nausha-e-Bazm-e-Jina kay waaste,
Anbiya ki saf ba saf baraat hai.

Kis tarha likhoon main midhat Aap ki,
Jab madha khawan khud Khuda ki zaat hai.

Kis qadar Rehaan khush qismat hai tu,
Teri bakhshish ka waseela Naat hai.

Har taraf anwaar ki barsaat hai,
Mehfil-e-Sarkar ki kya baat hai.

Post a Comment

0 Comments