Hum tere se aisa pyar karte hain - Naat Lyrics

Sallallah ’ala Muhammad
Hum tere se aisa pyar karte hain

Hum sab jaante hain, Insaano mein tere jaisa koi nahin hain,
Hum Sab Maante hain,
Teri azmat ka hum ko aur Allah ko aisa yaqeen hai

Tu hi Sadiq hai tu hi Amin hai
Jaanta asmaan aur zameen hai

Aey Muhammad tujhey salaam (4)
Hum tere se aisa pyar karte hai
Sallallah ’ala Muhammad (4)

Ghaare Hira se jo nikli awaaz,
Phaili jahan mein phir sach ki pukaar
Zulmat ke but ko kiya pash pash,
Insaan ka sab se bada rahnuma tu,
Jahaan pe hai tere karam beshumaar

Ghareebo ka saathi, yateemon ka baap,
Be-qasson ka Sahara, sakhi be hisaab

Khuda ki khudai ko samjhane wala
Zalim ke seene pe hai-badd ka saaya
Baaqi jahan ke liye sirf pyar
Ham sab jaante hai, insaano mein tere jaisa koi nahin hai,
Hum sab maante hain,
Teri azmat ka hum ko aur Allah ko aisa yaqeen hai.
Tu hi Sadiq hai tu hi Amin hai
Jaanta asmaan aur zameen hai

Post a Comment

0 Comments