Chashme karam ki baat hai Khwaja -Manqabat Lyrics

Chashme karam ki baat hai Khwaja
Kya meri aukaat hai Khwaja

Sab ko mile ek jaam karam ka
Saavan ki barsaat hai Khwaja

Khali jholi bhar jayegi
Ek nazar ki baat hai Khwaja

Tum hi meri laaj rakhoge
Haath mein Tere haath hai khwaja

Mehshar mein woh baksha jaae
Jo bhi Tere saath hai Khwaja


Dilli Rajasthan Tumhara Ya Khwaja
Saara Hindustan Tumhara Ya Khwaja

Hind mein nabbe lakh ko kalma padhwaya
Hum par hai ehsan Tumhara Ya Khwaja
Saara Hindustan Tumhara Ya Khwaja

Saara ana sagar kooze mein bhar aya
Sunte hi farmaan Tumhara Ya Khwaja
Saara Hindustan Tumhara Ya Khwaja

Faiz-e-Madina milta hai Ajmer se hi
Rauza hai zeeshan Tumhara Ya Khwaja
Saara Hindustan Tumhara Ya Khwaja

Rahe salamat Sunni Dawate Islami
Yeh to hai faizan Tumhara ya Khwaja
Saara hindustan Tumhara ya Khwaja

Post a Comment

0 Comments