Hussain jaisa Shaheed-e-Aazam - Manqabat Lyrics

Hussain jaisa Shaheed-e-Aazam
Jahan mein koi hua nahi hai
Churi ke niche gala hai lekin
Churi ke niche gala hai lekin
Kisi se koi gila nahi hai
Churi ke niche gala hai lekin
Kisi se koi gila nahi hai
Hussain jaisa Shaheed-e-Aazam
Jahan mein koi hua nahi hai

Adu the jab sir pe tegh tole
Hussain sajde mein jaake bole
Adu the jab sir pe tegh tole
Hussain sajde mein jaake bole
Madine walon gawah rehna
Madine walon gawah rehna
Namaz meri kaza nahi hai
Madine walon gawah rehna
Namaz meri kaza nahi hai
Hussain jaisa Shaheed-e-Aazam
Jahan mein koi hua nahi hai
Churi ke niche gala hai lekin
Kisi se koi gila nahi hai

Pukare Abbas aye Sakina
Main paani launga aye Sakina
Pukare Abbas aye Sakina
Main paani launga aye Sakina
Katein hain baazu chida hai seena
Katein hain baazu chida hai seena
Abhi mera sir kata nahi hai
Katein hain baazu chida hai seena
Abhi mera sir kata nahi hai
Hussain jaisa Shaheed-e-Aazam
Jahan mein koi hua nahi hai
Churi ke niche gala hai lekin
Kisi se koi gila nahi hai

Gareeb ummat ki bekasi par
Hussain ka sir kata hai lekin
Gareeb ummat ki bekasi par
Hussain ka sir kata hai lekin
yazeed jaise shaki ke aage
yazeed jaise shaki ke aage
Hussain ka sir jhuka nahi hai
yazeed jaise shaki ke aage
Hussain ka sir jhuka nahi hai
Hussain jaisa Shaheed-e-Aazam
Jahan mein koi hua nahi hai
Churi ke niche gala hai lekin
Kisi se koi gila nahi hai

Post a Comment

0 Comments