Marhaba kitna sohna nabiyon ka sultan hai - Naat Lyrics

Jaan-o-Dil qurbaan hai
Jaan-o-Dil qurbaan hai
Woh toh aashiqon ki jaan hain
Marhaba kitna sohna nabiyon ka sultan hai

Mera ghar, aulad o jaan
Mehboob par qurbaan hai
Marhaba kitna sohna nabiyon ka sultan hai
Marhaba kitna sohna nabiyon ka sultan hai

Chand ke tukde kiye suraj phiraya Aapne
Chand ke tukde kiye suraj phiraya Aapne
Kankari bejaan thi kalma padhaya Aapne
Kankari bejaan thi kalma padhaya Aapne
Maalik-o-Mukhtar Aaqa
Maalik-o-Mukhtar Aaqa kaisa woh Zeeshan hai
Marhaba kitna sohna nabiyon ka sultan hai
Marhaba kitna sohna nabiyon ka sultan hai

Ungliyan kaati jinhone Husn-e-Yusuf dekh kar

Dekh letin woh agar mere nabi ko ek nazar

Pher letin dil pe churiyan
Yeh mera imaan hai
Marhaba kitna sohna nabiyon ka sultan hai
Marhaba kitna sohna nabiyon ka sultan hai

Kya bayan ho shaan humse Mustafa ki aal ki

Dilbare Maula Ali ki Fatima ke laal ki
Dilbare Maula Ali ki Fatima ke laal ki
Fatima Hasnain Haider
Fatima Hasnain Haider Mustafa ki jaan hain
Marhaba kitna sohna nabiyon ka sultan hai
Marhaba kitna sohna nabiyon ka sultan hai

Is jahan mein jis qadar bhi khoob roo insan hain

Woh sabhi Unke kadam ki dhool par qurban hain

Aapke jalwon ko Rizwan
Dekh kar hairan hai
Marhaba kitna sohna nabiyon ka sultan hai
Marhaba kitna sohna nabiyon ka sultan hai

Post a Comment

0 Comments