Tere damane karam me jise neend aa gayi hai
Jo fana na hogi aisi use zindagi mili hai
Mujhe kya padi kisi se karu arze mudd'a mai
Meri lau to bas unhi ke dar e jood se lagi hai
Wo jahan bhar ke daata mujhe fer denge khaali
Meri tauba ai khuda ye mere nafs ki badi hai
Mai maru to mere maula ye malaika se keh de
Koi is ko mat jagana abhi aankh lagi hai
Mai gunahgaar hu aur bade martabon ki khahish
Tu magar Karim hai jo teri banda parwari hai
Teri yaad thapki dekar mujhe ab shaha sulade
Mujhe jaagte hue yoon badi der ho gayi hai
Tera dil shakta Akhtar isi intezaar mein hai
Ke abhi naweede waslat tere dar se aa rahi hai

0 Comments